Israel me THAAD air defense system ke tyari
Israel me THAAD air defense system |
US Israel me THAAD air defense system tayinat kare ga: pentagon
THAAD battery aur mutaliqa crew ka deployment Israel ke hawai difa ko mazid mazboot karne ke liye, Iran ke hamlay ke baad, spokesman Ryder ne kaha ke America Israel mein aik hawai difa battery deploy karega Iran ke barhte hue khatrey ke darmiyan, Pentagon ne itwaar ko kaha Amreca Israeal me Apna THAAD air defense system tayinat kare
Press Secretary Maj. Gen. Patrick S. Ryder ne aik bayan mein kaha.
Us President ke hukum par, Secretary Austin ne Terminal High-Altitude Area Defense (THAAD) battery aur US Army ka crew Israel me deploy karne ki ijazat di Diya hai taake Israel ke hawai difa ko mazid taqat di ja sake, jo Iran ke be-mizail hamlon ke baad 13 April aur phir 1 October ko Israel par hue,
THAAD battery Israel ke mushtarka hawai difa nizaam ko mazid taqat degi, Maj. Gen. Patrick S. Ryder ne kaha, yeh air defense system America ki Israel ke difa aur Israel mein mojood Americans ke tahafuz ke liye pukhta" commitment ko zor deta hai, takay Iran ke mazeed ballistic missile hamlon se bacha ja sake.
Yeh un aksari tabdeeliyon ka hissa hai jo pichlay chand mahinon mein America ki Army ne Israel ke difa aur Iran aur Iran se wabasta milishon ke hamlon se Americans ke tahafuz ke liye ki hain,
Yeh pehli dafa nahi hai ke America ne is ilaqay mein THAAD battery deploy ki hai, Maj. Gen. Patrick S. Ryder ne zor dete hue kaha, ke pehle bhi pichlay saal October ke hamlon ke baad America ne THAAD battery deploy ki thi taake ilaqay mein mojood American Army ka difa kiya ja sake, aur 2019 mein Israel mein bhi aik training aur mushtarka hawai difa exercise ke liye deploy ki thi.
Iran ne 1 October ko kam az kam 180 ballistic missile Israel par hamlay Keya hi , jo Hamas ke siyasi rehnuma Ismail Haniyeh aur Hezbollah ke leader Hassan Nasrallah ke qatal ke badle mein hue.
0 टिप्पणियाँ