Punjab Govt Ko Green tractor 15 Lakh application submit hawa hai

Punjab Govt Ko Green tractor 15 Lakh application  submit hawa hai

Punjab govt ko Green Tractor program ke tehat 15 lakh se zyada darkhwastein moosool hui hain jo kisano ke liye elan ki gayi thi.

Punjab Govt Ko Green tractor 15 Lakh application  submit hawa hai
Punjab Govt Ko Green tractor 15 Lakh

Punjab hukumat ne Kisan Programme ke zariye 9,500 tractors taqseem karne ka elan kiya tha.

Aaj un afrad ki fehrist lagayi jaye gi jo qura andazi mein shaamil honge.

Is dauran, darkhwaston ki chhaan been mukammal ho chuki hai. Darkhwast guzaar ka zameeni record mutaliqa Patwar Circle se tasdeeq karwaya gaya.

Wazir-e-Aala Maryam Nawaz ne kisano ke liye Punjab Green Tractor Scheme 2024-25 ki manzoori di.

Wazir-e-Aala ne Pakistan mein tayar honay walay 50 se 85 HP tractors par har ek ke liye 10 lakh rupay ki subsidy ka elan kiya hai. Mohammad Nawaz Sharif ki tajweez par, Punjab Green Tractor Scheme ke tehat tractors ki tadaad 9,500 tak barha di gayi hai.

Green Tractor Scheme ke qura andazi Kal 20 October ko howa. Kamiyab darkhwast guzaar apne naam dekh sakte hain aur unhein apne registered mobile number par SMS bhi moosool hoga. Jaise ke aapko maaloom hai, Punjab hukumat ne Green Tractor Scheme ka aghaz kiya hai, jo har tractor par 10 lakh rupay ki subsidy faraham karti hai. Is qura andazi ke zariye, scheme ke tehat kisano ko 9,500 tractors riayti qeematon par faraham kiye jayenge.

Darkhwast guzaar ko 10 October 2024 tak apni darkhwast jama karni hogi. Darkhwast guzaar ke paas 1 se 50 acres tak zameen honi chahiye.

Kisaan 50 se 85 horsepower tak ke tractors ka intekhab kar sakte hain, jo tamam mulk mein tayar hote hain. Green Tractor Scheme ke liye online darkhwast dein aur apna pasandeeda Massey Ferguson ya New Holland Al-Ghazi tractor model book karain.

Mahely tayar shuda tractors mein Millat Tractor Company, Al-Ghazi Tractors Limited aur kisi bhi doosri maqami tractor company ke tractors shamil hain. Kisan Bhai bas online dastiyab registration form mein apni pasand ka tractor select karain aur haasil karain.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ